Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi Song Lyrics - Barsaat Ki Raat (1960)


Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi Song Lyrics - Barsaat Ki Raat (1960)

Zindagi Bhar Nahin Bhoolegi song from Barsaat Ki Raat (1960) is sung by  Mohammed Rafi. Sahir Ludhianvi has lyricist this song and Roshan Lal is the Music Director. The Film Barsaat Ki Raat (1960) stars Madhubala, Bharat Bhushan, Shyama, Chandrashekhar, Khurshid Bawra.

Singer:  Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: Roshan Lal



Hmmmm hmmmm
Zindagi bhar nahin bhoolegi woh barsaat ki raat
Ek anjaan haseena se mulaqaat ki raat
Zindagi bhar nahin bhoolegi...

Haaye wo reshmi
Zulfon se barasta paani
Haaye wo reshmi
Zulfon se barasta paani

Phool se gaalon pe
Rukne ko tarastaa paani
Dil mein toofan uthaate huey
Dil mein toofan uthaate huey
Jazbaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Dar ke bijli se achaanak
Wo lipatna uska
Aur phir sharm se
Bal kha ke simatna uska
Kabhi dekhi na suni aisi ho
Kabhi dekhi na suni aisi
Tilismaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Surkh aanchal ko daba kar
Jo nichoda usne
Surkh aanchal ko daba kar
Jo nichoda usne

Dil pe jalta huaa
Ek teer sa chhoda usne
Aag paani mein lagaate hue
Aag paani mein lagaate hue
Haalaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi

Mere naghmo mein
Jo basti hai wo tasveer thi wo
Naujawaani ke haseen
Khwaab ki taabir thi wo
Aasmaano se utar aayi ho
Aasmaano se utar aayi thi
Jo raat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi
Wo barsaat ki raat
Zindagi bhar nahi bhoolegi


0 comments:

Post a Comment

 
Top