Dil Jo Na Keh Saka Song Lyrics - Bheegi Raat (1965)
Dil Jo Na Keh Saka Song Lyrics - Bheegi Raat (1965)
Dil Jo Na Keh Saka song from Bheegi Raat (1965) is sung by Mohammed Rafi. Sahir Ludhianvi has lyricist this song and Roshan Lal is the Music Director. The Film Bheegi Raat (1965) stars Ashok Kumar, Meena Kumari, Pradeep Kumar, Kamini Kaushal, I.S. Johar, Rajendra Nath.
Singer: Mohammed Rafi
Lyricist: Sahir Ludhianvi
Music Director: Roshan Lal
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaz-e-dil kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Naghma sa koyi jaag utha badan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Jhankar ki si tharthari hai tan me
Ho mubarak tumhe kisi ki larajti si baahon mein
Rahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
Taubaa ye kis ne anjuman sajaa ke
Tukde kiye hain guncha-e-wafaa ke
Tukde kiye hain guncha-e-wafaa ke
Ho uchhaalo gulon ke tukde
Ke rangeen fizaaon mein rahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Chaliye mubaarak jashn dosti kaa
Daaman to thaamaa aap ne kisi kaa
Daaman to thaamaa aap ne kisi kaa
Ho hamen to khushi yahi hai
Tumhen bhi kisi ko apnaa kahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Saagar uthaao dil kaa kis ko gham hai
Aaj dil ki qeemat jaam se bhi kam hai
Aaj dil ki qeemat jaam se bhi kam hai
Ho piyo chaahe khoon-e-dil ho
Ke peete pilaate hi rahne ki raat aayi
Dil jo naa kah sakaa
Wohi raaje dil kahne ki raat aayi
Dil jo na kah saka
0 comments:
Post a Comment